Saturday, 4 February 2017

ध्यान

What is dhyan?
Dhyan ka Matlab h Vartaman main rahana.vah sthiti Jahan Bhut kal aur bhavishya kal ka koi vichaar na ho.tab mana ko ek Nirvichaar sthiti praapt ho jati hai.aur Hum hamari Aatma se jud jaate hain.
Hamaari Aatma Parmatma ka hi ansh h.aur jab koi sadhak easi sthiti main hota hai yani apni Aatma se jud jata hai to Parmatma ki shakti uske andar bahane lagti hai.use shanti aur anand ka anubhav hota hai.
Vastav main sasvat sukh ka khazana hamaare andar hi hai.
Dhyan-sadhana kisi jeevant sadguru ke sanidhya main ki jaye toh Vishva chetana ki anubhuti saralata se anubhav ki ja sakti hai.